Best Poetry Soul: Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaon Kaise,

Friday, 29 August 2025

Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaon Kaise,

Type By,


*.__SAJJAD__.*


Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaon Kaise,

Haal Jaisa Bhi Hai Logon Ko Sunaon Kaise,

Khushk Ankhon Se Bhi Ashkon Ki Mehek Aati Hai,

Main Tere Gham Ko Zamane Se Chupaon Kaise,

Teri Surat Hi Mere Aankh Ka Sarmaya Hai,

Tere Chehre Se Nigahon Ko Hataon Kaise,

Tu Hi Batla Mere Yaadon Ko Bhulane Wale,

Main Teri Yaad Ko Is Dil Se Bhulaon Kaise,

Phool Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Rehta,

Zakham Le Kar Teri Dehleez Pe Aaon Kaise,

Aaina Maand Pare Saans Lene Se Adeem,

Itne Naazuq Ho Taaluq To Nibhaon Kaise,

Who Rulata Hai Rulaye Jee Bhar K Adeem,

Meri Aankhain Hai Who Main Os Ko Rulaon Kaise,


Poet_Adeem Hashmi,

No comments:

Post a Comment

Rage, Rage Against The Dying Of The Light.

 Rage, Rage Against The Dying Of The Light. Do Not Go Gentle Into That Good Night Old Age Should Burn And Rave At Close Of Day; Rage, Rage ...